ISLAMIC SMS

Ayat of the Day:
Ae logo apne rab se daro jis ne tumhain aik shakhs se peda kiya phir iss se iss ka jora banaya phir in dono se kasrat se mard aur aurtain peda kar ke zameen main phela diye, aur Allah se daro jis ke naam ko tum apni hajat rawai ka zariya banate ho aur Arhaam se bacho kuch shak nahi ke Allah tumhain dekh rha hai.
Ref: Sura NISAA  AYAT No.1


Ayat of the Day:
Allah in logon ki toba qabol farmata hai jo nadani se buri harkat kar lete hain aur phir jald tooba bhi kar lete hain, aise logon par Allah mehrbani karta hai awr Allah sub kuch janta hai, Hikmat wala hai.
aur aesay logon ki tooba qabol nahi huti jo sari umar bure kaam karte rahain yahan tak ke jab in main se kisi ko mout aa jaey tu uss waqt kehnay lage ke ab main tooba karta hoon, aur na un logon ki tooba qabool huti hia jo kufar ki halat main marain. aise logon ke lye hum ne Azab-e-Aleem tyar kar rkha hai.
Ref: SURA NISAA , AYAT No. 17 & 18




 
Ayat of the Day:
Allah ka hum per aik buhat bara ehsan hai zara goor tu karo.
Allah Karim Sura NISAA ki ayat no. 31 main irshad farmata hai ke" Logo Allah ne tumhain jin bare bare gunahoon se mana kiya hai un se baz raho gay tu Allah tumhare chotay chotay GUNAH maaf kar day ga awr tumhain izzat ke gharoon main dahil kare ga.
(SUBHAN ALLAH)
Dosto Har chotay aur bare gunah se bacho ta ke ALLAH hamain izzat se nawazain. Allah ke iss Hukam per amal karo aur ALLAH se PRIDE OF PERFORMANCE ke haqdar ban jao.




 
Ayat of the Day:
Aey Bani ADAM! Har namaz ke waqt apne app ko Muzayan rakha karo aur khaao aur peyoo aur fazool harchi mat karo kyoun ke ALLAH fazool Harchi karne wallon ko dost nahi rakhta.
Ref: SURA ERAAF Ayat No. 31


Ayat of the Day:
jitni umatain logon main peda hui hain tum un sub se behtar hoo ke tum achay kaam karne ko kehtay hu aur bure kaam karne se mana karte hu, aur Allah per eman rakhte hu.
Ref: Al Quran Ch.3 Ayat.110

Ayat of the Day:
Tuba karne Wale
Ebadat Karne wale
Allah ki HAMD karne wale
ROZA rakhne wale
Raku karne wale
Sajda karne wale
Achay kamoon ka hukm dene wale
Buri Batoon se mana karne wale
Allah ki Haddon ki hifazat karne wale
yehi momin log hain aur ay Peghamber momino ko janat ki khush habri suna do.
Ref: Al Quran, Ch.9, Ayat 112